Transmission line per insulation kyon nhi hota or jang (Rush) kyon nhi lagta hai ?
Q) Transmission line per insulation kyon nhi hota hai ?
1) Transmission line per voltage bahut jyada hota hai, 220,440,765 KV, or isse bahut jyada dur tk transmit kiya jata hai ager hmm isper insulation lgayege to transmission line ki cost bahut jyada ho jayegi.
2) Ager hmm transmission line per insulation lgayege tb transmission line ka weight bhi jyada ho jayega, or line ka weight tower per hi hota hai isliye hmme tower ko bhi strong kerna haga isse bhi transmission line ki cost jyada ho jaygi.
3) transmission line ground se bahut height per hota hai, jiski wajah se insulation ki jarurt nhi hoti hai.
4) jyada height per hone ki wajah se waha per air ka flow bahut jyada hota hai, high voltage hone ki wajah se wire me heat bhi bahut hota hai, height per hone ki wajah se Air heat ko cool kaene me help karta hai.
5) Transmission line me ACSR (aluminium conductor steel- reinforced cable) ka use hota hai, isme steel or aluminium ka use kiya jata hai, jiski wajah se wire me jang (Rust) nhi lagta hai.
Ager wire normal metal ka hota tb usme dhul mitti, baarish, ki wajah se wire me jang (Rush) lg jata.
Comments
Post a Comment