What is diode and warking, types, uses, material (Hindi)
Q) What is diode ?
Diode - Diode ek device hai jo current ko ek hi direction me flow krata hai (unidirectional) , diode mein two terminals hote hai anode and cathode, anode matlab (+ve ) and cathode matlab (-ve ), positive ko P se denote karte hai or negative ko N se.
Symbol of diode
Warking of diode
1) Forward Bias - forward bias me diode ke anode ko battery ke positive terminal se or cathode ko negative terminal se connect karte hai .
2) Reverse Bias - reverse bias forward bias ka reverse hota hai ismein diode ke anode ko battery ke negative se or cathode ko battery ke positive se connect karte hai.
Diode two types ke material ka bna hota hai -
a) Germanium material - diode ke anode ko positive se or cathode ko negative se connect kre or diode germanium material ka ho toh ismein variation hota hai ki ye 0.3volt ke bad hi current ko flow karayega. ye germanium ki property hoti hai ,matlab ismein 0.3volt ka drop ho jata hai.
b) Silicon material - diode ke anode ko positive se or cathode ko negative se connect kre or diode silicon material ka ho toh ismein 0.7volt ke Bad current flow hota hai ye silicon material ki properly hai. Matlab ismein 0.7volt ka drop ho jata hai.
Types of diode
I) P-N junction diode
II) zener diode
III) Tunnel diode
IV) Varactor diode
V) Schottky diode
VI) Photo diode
VII) PIN diode
VIII) Laser diode
IX) Avalanche diode
X) Light emitting diode (LED)
Uses of diode
Diode can be use as Rectifier, signal limiters, voltage regulator, switches, signal modulators, oscillator etc.
Comments
Post a Comment